Ae Ri Main To Prem Deewaani [Part-II] ( Nau Bahar - 1952 )

Song Name
: Ae Ri Main To Prem Deewaani [Part-II]
Movie Name
: Nau Bahar
Music Director
: Roshan
Music Company
:
Singer
:
Picturised On
:
Song Type
: Happy
Release Date
Movie Year
: 1952
Views
:


[singer: Lata]

ae ri main to prem deewaani,mera dard na jaane koi-2

din dooba taare murjhaaye
sisak sisak gayi rain
baithi soona panth nihaarun
jhar jhar barasat nain
duniyaa ke sab sapane jaage
bhaag hamaaraa soe
o bedardi, jeevan baati
pal pal vyaakul hoe
ae ri main to......

maang sindoor lapat ban jaage
laagi agan chahun aur
rooth gayi haathon ki mehandi
tooti man ki dor
mere manamohan aayo na sakhi ri
ro ro naina khoe
ghaayal ki gati ghaayal jaane
te jin laagi hoe
ae ri main to...

****************************************